Ho Madine ka ticket mujh ko ata Data Piya Aap ko Khwaja Piya ka wasta Data Piya
Mujh ko Ramzan-e-Madinah ki ziyarat ho naseeb Kharch ho rah-e-Madinah ka ata Data Piya
Do na do marzi tumhari tum Madine ka ticket Main pukare jaunga Data Piya Data Piya
Daulat-e-dunya ka sail ban ke main aaya nahi Mujh ko deewana Madine ka bana Data Piya
Kash main roya karun ishq-e-Rasool-e-Pak mein Soz do aisa paye Ahmad Raza Data Piya
Gham mujhe meethe Madine ka ata kar do shaha Mera seena bhi Madinah do bana Data Piya
Meethe meethe Mustafa ki bargah-e-Pak mein Kijiye meri sifarish aap ya Data Piya
Go zaleel-o-khwar hun papi hun main badkar hun Aap ka hun aap ka hun aap ka Data Piya
Arzoo hai maut aaye Gumbad-e-Khazra tale Hath utha kar kijiye haq se dua Data Piya
Main hun isyan ka mareez aur tum tabib-e-asiyan Ho ata mujh ko gunahon ki dawa Data Piya
Aap ki chashm-e-karam ho jaye gar badhal par Door ho gham ki abhi kali ghata Data Piya
Kya gharaz dar-dar pharun main bheek lene ke liye Hai salamat aastana aap ka Data Piya
Jholiyan bhar bhar ke le jate hain mangte raat din Ho meri ummeed ka gulshan hara Data Piya
Mujh ko Data tajdaran-e-jahan se kya gharaz Main to hun mangta tere darbar ka Data Piya
Ujre ghar aabad hon aur gham ke mare shad hon Ho tere har ek mangte ka bhala Data Piya
Dum daba kar bhaag jaye sher bhi gar dekh le Aap ke darbar ka kutta shaha Data Piya
Kash! phir Lahore mein neki ki dawat aam ho Faiz ka darya baha do sarwara Data Piya
Masjiden aabad hon aur sunnatten bhi aam hon! Faiz ka darya baha do sarwara Data Piya
Saare mangte apne chehre par sajayen darhiyan Faiz ka darya baha do sarwara Data Piya
Takht-e-shahi ki nahi hai arzoo Attar ko Is ko bas kutta banalo apna ya Data Piya