Ho karam Sarkar ﷺ ab to ho gaye gham beshumar Jaan-o-dil tum pe fida ae do-jahan ke tajdar ﷺ
Main akela aur masail-e-zindagi ke beshumar Aap hi kuch kijiye na! Ae Shah-e-aali waqar
Ya Khuda dikhla Hateem-e-pak, Mizab-o-Maqam Aur Safa Marwah mujhe bahr-e-Rasool-e-zee-waqar
Yaad aata hai tawaf-e-khanah-e-Kaaba mujhe Aur lipatna Multazam se walahana baar baar
Ja raha hai qafila Taiba nagar rota hua Main raha jata hoon tanha ae Habib-e-kardgar ﷺ
Jald phir tum lo bula aur sabz gumbad do dikha Haziri ki aarzoo ne kar diya dil be-qarar
Gumbad-e-Khizra ke jalwe aur woh iftariyan Yaad aati hai bohat Ramzan-e-Taiba ki bahar
Ya Rasool Allah sun lijiye meri faryad ko Kaun hai jo ke sune tere siwa meri pukar
Haal par mere karam ki ik nazar farmaye Dil mera ghamgeen hai ae ghamzadon ke ghamgusar
Qafile walo! Suno yaad aaye to mera salam Arz karta rote rote ho sake to baar baar
Ghamzada yun na hua hota Ubaid Qadri Is baras bhi dekhta gar sabz gumbad ki bahar