Ho jo taufiq to bas Naat-e-Payambar ﷺ likhoon Koi harf aur na is sinf se bahar likhoon
Mujh siyah-kaar ko bhi jis ne diya izn-e-salam Kyun na us zaat ko rehmat ka samandar likhoon
Roz hoti hai jahan ek nayi barish-e-noor Kaise alfaaz mein us subah ka manzar likhoon
Daulat-e-sabr-o-qana'at jise mil jaaye yahan Aaj ke daur ka us shakhs ko Bozar likhoon
Sab jahanon mein isi naam ka jalta hai charagh Sab jahanon ka nahi Haadi ﷺ o Rehbar ﷺ likhoon
Khaak us dar ki meri aankhon ka surma hai Kaleemؔ Kyun na main khud ko ghani aur tunagar likhoon