Ho gaya haajiyon ka shuru ab shumaar Idhn mujh ko bhi de do Shah-e-Zi-Waqar
Teri nazar-e-karam ka hoon ummeedwar Go mere jurm Sarkar hain beshumaar
Phir Madine ki jaanib chale qaafle Ho gaye aashiqan-e-Nabi be-qaraar
Az paye Ghous-e-Azam nigah-e-karam Phir dikha do Madine ke lail-o-nahaar
Mere meethe Madine ki kya baat hai Hai fiza mehki mehki hawa khushgawar
Jis qadar bhi hain Islami bhai behan Sab ko bulwao Mehboob-e-Parwardigar
Arsh par farsh par khuld par khalq par Idhn-e-Rabb se hai naafiz tera iqtidaar
Keejiye door dunya ke ranj-o-alam Aap par mere halaat hain aashkaar
Mere nazdeek aaye na pat jhar kabhi Tajdar-e-Madinah do aisi bahaar
Phans gayi nao isyaan ke toofan mein Ab laga do mere naakhuda jald paar
Mere daaman-e-tar ki Shafee-ul-Wara Laaj rakhna khudara baroz-e-shumaar
Sunnaton ka main charcha karoon raat din Ho ata aisa jazba paye Chariyaar
Ae Madine ke zaair dar-e-paak par Arz karna mera bhi salaam ashkbaar
Peer-o-Murshid ke sadqe ho aisi ata Aaye Attar darbaar mein baar baar