Hairi sakheri more piya ghar aaye Bhaag lage more aangan ko
Apne piya ke main bal bal jaaun Charan lagaya nirdhan ko
Main toh padi thi aas lagaye Mehndi kajra maang sajaye
Apne piya ki main dekh surtiya Haar gayi main tan man ko
Jis ka piya sang beete sawan Us dulhan ki rain suhagan
Jis sawan mein piya ghar naahin Aag lage us sawan ko
Apne piya ko main kis bidh bhaaun Laaj ki maari marti jaaun
Tum hi jatan karo mori sajni Ke bhati rahoon main saajan ko
Apne piya bin chain na kaai Bin darshan ke rain duhaai
Aaj sakheri tum so na jaana Jhaank ke rakhna aankhein ko