Hashr mein khud ko jo dekhun ga bikhar jaaun ga Aap ne agar na sambhala kidhar jaaun ga
Meri har saans ki dori dar-e-Panjtan se judi Be-khatar ho ke lahad mein utar jaaun ga
Itna maanoos hoon Aaqa ﷺ main tere qadmon se Mujh ko qadmon se kiya door to mar jaaun ga
Aadat-e-Naat bahana hai meri bakhshish ka Naat parhte hue main pul se guzar jaaun ga
Mera sar Aap ﷺ ki dehleez ke qabil to nahi Khaak ban kar tere qadmon mein bikhar jaaun ga
Itna tarpa hoon Madine ki haazri ke liye Main jee uthoon ga jo Muhammad ﷺ ke shehar jaaun ga
Mujh ko bas apne hi qadmon mein rakhna Aaqa ﷺ Yeh sanad le ke main dunya se guzar jaaun ga
Is se barh kar nahi aizaaz koi aur Zia Log tera hi kahein ge jidhar jaaun ga