Hashr mein jab unko sajday say uthaya jaye ga Hum gunahgaron ki bigri ko banaya jaye ga
Kuch toh unki junbish-e-lab say riha hojayen gay Kuch gunahgaron ko kamli mein chupaya jaye ga
Hazrat Hassan ki hamsayegi kay wastay Naat kehnay, sunnay walon ko bulaya jaye ga
Jab sawari Sayyida Zahra ki aayi hashr mein Hukam de kar sab ki nazron ko jhukaya jaye ga
Hashr ki ghayat hain Nazish aur kya iss kay siwa Martaba mehboob ka sabko dikhaya jaye ga.