Har waqt tasawwur mein mere hain mast ghataain Taibah ki Rehti hain nigahon mein har dam par-noor fazaain Taibah ki
Haalat ke zindaan mein jab bhi mehsoos ghutan mein karta hoon Aa jaati hain taskeen dene ko par sard hawayein Taibah ki
Mahroom nahi rehta koi har ek ka daaman bhar-ta hai Milti hain muraadein munh maangi hain aam ataain Taibah ki
Taibah se aane walon se hai arz meri bas itni si Do ghariyan ruk jaayein aur humein koi baat sunaen Taibah ki
Hai adl yahan insaaf yahan hai rahm yahan hai pyaar yahan Allah ghani insan pe hain kya kya ye ataain Taibah ki
Kyun samne mere karte ho rangeen-e jannat ki baatein Jannat to yahan khud aa aa kar leti hai balaain Taibah ki
Ab dekhiye gumbad-e Khizriya ki kab mujh ko ziyarat hoti hai Ro ro kar main ne ae afzal maangi hain duaein Taibah ki