Har gham se bachaya hai sarkar ki rahmat ne Kya noor ka saaya hai sarkar ki rahmat ne
Asiyaan ki daldal mein, main doobta phirta tha Mujhe aa ke bachaya hai sarkar ki rahmat ne
Mushkil mein ghar kar jab Aaqa par durood parha Mujhe seene lagaya hai sarkar ki rahmat ne
Aey Thaqib ghayron ki ulfat ko kar ke door Faqat apna banaya hai sarkar ki rahmat ne