Har dam ho mira wird Madinah hi Madinah Ban jaaye mira dil teri ulfat ka khazina
Woh lamha woh din aur woh aajaye mahina Phir kaash! tarapta hua pahunchun main Madinah
Taibah mein bula kar mujhe Sultan-e-Madinah Deedar ki khatir ho ata aankh bhi beena
Seena ho Madinah to Madinah bane seena Aur yaad teri dil mein rahe Shah-e-Madinah
Aajaye mujhe kaash! Shahenshah-e-Madinah Rone ka tarapne ka pharakne ka qareena
Isiyan ke talatum mein phansa mera safeena Dooba main sambhalo! mujhe Sarkar-e-Madinah
Ae Noor-e-Khuda noor bhari dil pe nazar ho Ho noor se pur-noor yeh be-noor nageena
Sarkar! tamanna hai yunhi umar basar ho Marna teri ulfat mein teri yaad mein jeena
Ghamgeen tere gham mein rahun kaash! hamesha Roti rahen aankhein to sulagta rahe seena
Saqi! mujhe jaam aisa mohabbat ka pilado Utare na nasha is ka kabhi Shah-e-Madinah
Tum khaak-e-Madinah mere lashe pe chirakna Phir malna kafan par jo mile un ka paseena
Attar talabgar hai bas nazar-e-karam ka Lillah karam, jaan-e-karam, behr-e-Madinah