Haqeeqat mein woh lutf-e-zindagi paya nahi karte Jo yaad-e-Mustafa ﷺ se dil ko behlaya nahi karte
Zaban par shikwa-e-ranj-o-alam laya nahi karte Nabi ﷺ ke naam-lewa gham se ghabraya nahi karte
Yeh darbar-e-Muhammad ﷺ hai yahan milta hai be-maange Arey nadan yahan daaman ko pheylaya nahi karte
Arey Oona samajh qurban hoja unke roze par Yeh lamhe zindagi mein baar baar aaya nahi karte
Yeh darbar-e-risalat hai yahan apnon ka kya kehna Yahan se haath khali ghair bhi jaya nahi karte
Muhammad Mustafa ﷺ ke baagh ke sab phool aise hain Jo bin paani ke tar rehte hain murjhaya nahi karte
Jo unke daaman-e-aqdas se wabasta hain ae Hamid Kisi ke samne woh haath pheylaya nahi karte