Hain rehmaton ki barishen Tayyiba mein ja ke dekh Sab ke gunaah dhouti hain to aazma ke dekh
Sadaqa wahan pe batta hai har waqt dosto Tujh ko nawaazenge Aaqa daaman phaila ke dekh
Jo sukoon ki talaash hai Aaqa ka ban gada Rehmat ki hon gi barish to aazma ke dekh
Aaqa ki naat parhta to Sunnat Khuda ki hai Gar shak hai tujh ko dost Quran utha ke dekh
Tayyiba ki barakat ke liye Aaqa ne ki dua Makkah se dogni barkatein Tayyiba mein jaake dekh
Rehmat ki chham chham barishen hon gi tere bhi ghar Zikr-e Rasool Pak ki mehfil saja ke dekh
Ho jaaye ga seena tera par noor dostaa Nagma Madinay wale ka ek baaraga ke dekh
Irfan Thaqib tere bhi dhal jaayein ge gunaah Chand ghadiyan un ki yaad mein aansu baha ke dekh