Hai chaman hi chaman Madinah mein Un ki dekh o phban Madinah mein
Saari duniya hai anjuman un ki Zeenat-e anjuman Madinah mein
Jis ne toRay sanam zamane ke Hai wahi but shikan Madinah mein
Hain sukhanwar jahan mein lakhon hi Tajdar-e Sukhan Madinah mein
Khak-e Tayyiba ka do kafan mujh ko Mujh ko kar do dafan Madinah mein
Aarzoo hai yeh dil mein ban jaaye Kaash mera watan Madinah mein
Jadd Sadaat ae Riyaz hazin Hain Hussain o Hasan Madinah mein