Hain saf-aara sab hoor-o-malak aur ghilmaan khuld sajaate hain Ik dhoom hai Arsh-e-Azam par mehman-e-Khuda ke aate hain
Hai aaj falak roshan roshan, hain taare bhi jagmag jagmag Mehboob-e-Khuda ke aate hain mehboob-e-Khuda ke aate hain
Qurban main shaan-o-azmat par soye hain chain se bistar par Jibrail-e-Amin haazir hokar Meraj ka muzdah sunaate hain
Jibrail-e-Amin Buraq liye jannat se zameen par aa pahuche Baaraat farishton ki aayi Meraj ko dulha jaate hain
Hai khuld ka joda zeb-e-badan rahmat ka saja sehra sar par Kya khoob suhana hai manzar Meraj ko dulha jaate hain
Hai khoob faza mahki mahki chalti hai hawa thandi thandi Har samt samaan hai noorani Meraj ko dulha jaate hain
Yeh izzo-jalaal Allah! Allah! yeh auj-o-kamaal Allah! Allah! Yeh husn-o-jamal Allah! Allah! Meraj ko dulha jaate hain
Deewano! tasawwur mein dekho! Asra ke dulha ka jalwa Jhurmat mein malaik le kar unhein Meraj ka dulha banaate hain
Aqsa mein sawaari jab pahunchi Jibrail ne barh ke kahi takbeer Nabiyon ki imamat ab barh kar Sultan-e-Jahan farmaate hain
Woh kaisa haseen manzar hoga jab dulha bana sarwar hoga Ushaaq tasawwur kar kar ke bas rote hi reh jaate hain
Yeh Shah ne paayi sa'adat hai Khaliq ne ata ki ziyaarat hai Jab ek tajalli parti hai Musa toh ghash kha jaate hain
Jibrail thahar kar Sidra par bole jo barhe hum ek qadam Jal jayenge saare baal-o-par ab hum toh yahin reh jaate hain
Allah ki rahmat se Sarwar ja pahuche Dana ki manzil par Allah ka jalwa bhi dekha deedar ki lazzat paate hain
Meraj ki shab toh yaad rakha phir hashr mein kaise bhoolenge Attar isi umeed pe hum din apne guzaare jaate hain