Hai shahd se bhi meetha Sarkar ka Madinah Kya khoob mehka mehka Sarkar ka Madinah
Hum ko pasand aaya Sarkar ka Madinah Kyun ho na apna naara "Sarkar ka Madinah"
Har shehar se hai achha Sarkar ka Madinah Jannat se bhi suhana Sarkar ka Madinah
Be-kas ka hai sahara Sarkar ka Madinah Be-ghar ka hai thikana Sarkar ka Madinah
Kohsar dilkusha hain sehra bhi dilruba hain Husn-o-jamal wala Sarkar ka Madinah
Dono jahan se pyara, kaun-o-makan se pyara Har aankh ka hai taara Sarkar ka Madinah
Jannat ka husn sara is mein simat kar aaya Hai husn hi sarapa Sarkar ka Madinah
Har samt rehmaton ki barsaat ho rahi hai Hai rehmaton ka darya Sarkar ka Madinah
Furqat ki aag mein jo dil ko jala rahe hain Un ko dikha khudaya Sarkar ka Madinah
Aye zair-e-Madinah! Dil ko sambhaal lena! Dekh aa gaya Madinah Sarkar ka Madinah
Hai laakh laakh Maula har aan shukr tera Ik baar phir dikhaya Sarkar ka Madinah
Phoolon ko choomta hoon, kaanton ko choomta hoon Lagta hai mujh ko pyara Sarkar ka Madinah
Jee chahta hai mera har shay yahan ki choomoon Kaisa hai meetha meetha Sarkar ka Madinah
Meri nazar ko bhaaye duniya ka husn kaise? Aankhon mein hai samaya Sarkar ka Madinah
Allah! Mustafa ke qadmon mein maut de de Madfan bane hamara Sarkar ka Madinah
Attar ki dua hai taqdeer mein khudaya Likh de faqat Madinah Sarkar ka Madinah