Be rehmat-e-Shah ﷺ balag-e-Bukhare kahan hote Gulzar-e-bayaban hamare kahan hote
Sab kuch hai usi noor-e-jahan tab ke dam se Dharti kahan hoti ye sitare kahan hote
Us ﷺ azm-e-zafar-yab ka faizan hai varna Kuch khwab nagar hum ne usarey kahan hote
Aaina-e-seerat jo inayat nahi hota Insaan ne khad-o-khaal sanware kahan hote
Us khalq-e-misali se agar faiz na pati Tehzeeb ne aadaab nikhaare kahan hote
Aali wo na karta jo masihaai hamari Kab khulti girah dard ke chaare kahan hote