We've added ads to help keep the platform running and improving for you.

Hai Mera Chara Gar Madine MainNot Verified

Ata ul Haq Qasmi

Hai mera chara-gar Madine mein Manzil-o-rahbar Madine mein


Kitni subhein zahoor karta hai Jaagna raat bhar Madine mein


Kitni sadiyon pe ho gaye hain muheet Mere shaam-o-sahar Madine mein


Tu ne to kuch bhi dekhne na diya Ae meri chashm-e-tar Madine mein



Free Up Space - Get Lyrics Without Bulky Screenshots!

Get it on Google Play


Yaad farmaiye mere Maula Mujh ko baar-e-digar Madine mein


Kitne hote hain khush naseeb Atta Jin ke hote hain ghar Madine mein

More Lyrics, Less Storage - Install the App and Ditch the Screenshots!

Get it on Google Play

midhah-logo-grey© 2026 Midhah