Hai dua meri yehi har aan, Ya Khair-ul-Wara Mushkilein ho jaein sab aasaan, Ya Khair-ul-Wara
Aap ﷺ ki aamad banaye inqalab-e-nau ba nau Zindagi badli bahar-e-unwan, Ya Khair-ul-Wara
Aadmi samjha meri takhleeq ka maqsad hai kya Aur Khuda ki bhi hui pehchan, Ya Khair-ul-Wara
Jagazein har dil mein ho aise mohabbat Aap ﷺ ki Barhti jaye daulat-e-imaan, Ya Khair-ul-Wara
Ghar woh kaisa tha ke jis ke mulk jaaroob kash Aur Jibreel-e-Ameen darbaan, Ya Khair-ul-Wara
Rabia, likhti rahoon main hamd-o-naat-o-manqabat Aur ho jaye mera deewan, Ya Khair-ul-Wara