Hai dil mein ishq-e-Nabi ﷺ ka jalwa nazar mein Khwaja sama rahe hain Hamare Khwaja hamare aangan mein aaj tashreef la rahe hain
Nagar nagar mein karo munadi hai aaj Khwaja piya ki shadi Nazar mila kar woh dasiyon ko sada suhagan bana rahe hain
Har ek dil mein suroor unka, har ek nazar mein zuhoori unka Woh apni aankhon ke maikade se sharab-e-ulfat pila rahe hain
Hamare Khwaja ke sab sawali koi gaya aaj tak na khali Gada nawazi ki shaan yeh hai ke sab ki bigri bana rahe hain
Yeh zindagi hai Niyaz unki, hai dil mein qaim namaz unki Haram samajh kar is aastan pe wali zamane ke aa rahe hain
Zaroor faiz-e-karam milega, zaroor dil ka chaman khilega! Hum apne Khwaja Moin Chishti ki aaj mehfil saja rahe hain
Fareed ؒ, Sabir ؒ, Nizam ؒ aaye ke Shah ban ke ghulam aaye Qutub wali aaj mastiyon ke sabhi khazane luta rahe hain
Hai in ke sar par Ali ka saya, Nabi ﷺ ne Hind al-Wali banaya Jahan se Khwaja Moin ؒ guzre woh raste jagmaga rahe hain
Yahi toh meraj-e-aarzoo hai, buland darwaza rubaru hai Dar-e-ata par pohanch ke Wasif ؔ hum apni palkein bicha rahe hain