Hai aaj jashn-e-subh-e-bahaaran huzoor tashreef la rahay hain Farishtay ahl-e-jahan ko muzda-e-masarraton ka suna rahay hain
Nafas-nafas rehmatain hain Rab ki nazar-nazar noor hai numayan Qadam-qadam par karam ke baadul Nabi ka sadqa luta rahay hain
Tuloo hai ek mahtaab aisa har ek zarra hai noor jaisa Andheray jis ki na taab laa kar haya se munh ko chhupa rahay hain
Khuda ne jin ki khushi mein apna tamaam arsh-e-Azam sajaya Unhi ki aamad mein aaj hum bhi khushi ki mehfil saja rahay hain
Zaboor mein jin ka zikr aaya Khaleel ne jin ki aarzoo ki Wahi to roo-e-haseen se apnay ke aaj parda utha rahay hain
Wo Kehkashan ho ke ya Qamar ho Malaika hon ke ya Bashar hon Sabhi Rasool-e-Khuda ke sadqay naseeb apna jaga rahay hain
Hamari qismat kahan hai aisi jo hum bhi sooey Madinah jaayen Madinah woh ja rahay hain Abid jinhein ke Aaqa bula rahay hain