Habib-e Khuda ka nazara karoon mein Dil-o-jaan un par nisaar karoon mein
Teri kafsh-e paayon sanwara karoon mein Ke palakon se apni bahaar karoon mein
Ke qadmon par sar ko qurban kar ke Tere sar se sadaqe utaara karoon mein
Yeh aik jaan kya hai agar hon karoron Tere naam par sab ko waara karoon mein
Mera deen o iman farishtay jo poochein Tumhaari hi janib-e ishara karoon mein
Khudara ab aao ke dam hai labon par Dam-e wapasen to nazaara karoon mein
Khuda khair se laaye woh din bhi Noori Madinah ki galiyaan bahaaran karoon mein