Guzar ho jaaye mera bhi agar Taibah ki galiyon mein Toh saari zindagi kar doon basar Taibah ki galiyon mein
Hawaayein rehmat-e-Haq ki wahan chalti hain roz-o-shab Barasta noor hai shaam-o-sahar Taibah ki galiyon mein
Jidhar dekhi usi mah-e-mubeen ki chandni dekhi Jamaal-e-Mustafa aaya nazar Taibah ki galiyon mein
Muhammad Mustafa ke ishq mein har aankh pur-nam hai Yeh dekha hai mohabbat ka asar Taibah ki galiyon mein
Durood un par, salaam un par, salaam un par, durood un par Wazeefa ho yahi shaam-o-sahar Taibah ki galiyon mein
Farishte bhi adab se sar jhukaate hain wahan Arshad Meri bhi kyun na jhuk jaaye nazar Taibah ki galiyon mein