Gumbad-e-Khizra tak aahon ki rasai mil jaaye Phir bhale rooh ko pinjre se rehai mil jaaye
Qabil-e-rashk ho mere liye daryoza-gari Mujh ko khairaat mein Taiba ki gadai mil jaaye
Pa-barahna ho safar su-e-Madinah mera Sadqay na'lain ke yeh aabla-pai mil jaaye
Kaash aisa ho mujhe khwab mein Hassan milein Naat ko shustagi, madh-sarai mil jaaye
Koi mazmoon sujhayein mujhe mere Aaqa ﷺ Raah-e-midhat mein mujhe rahnumai mil jaaye
Kya karoon ga main zamane ki khudai le kar Hashr mein kaam jo aaye woh kamai mil jaaye