Gham se hamein bachaye ga Milad aap ﷺ ka Rehmat Khuda ki laye ga Milad aap ﷺ ka
Soya hai jo bhi orh ke chadar gunah ki Aakar use jagaye ga Milad aap ﷺ ka
Qurbat use mile gi yaqeenan huzoor ki Dil se agar manaye Milad aap ﷺ ka
Aaye ga mah-e-pak wiladat toh yeh haqeer Ek ek gali sajaye ga Milad aap ﷺ ka
Is ke liye duayein karein ge malaika Jo shakhs bhi manaye ga Milad aap ﷺ ka
Har dil mein hum sajayein ge mehfil-e-Rasool ki Waaiz hamein sunaye ga Milad aap ﷺ ka
Akramؔ yaqeen hai mujhe is saal bhi zaroor Har ummati manaye ga Milad aap ﷺ ka