Gar chahe to apna bhala mehfil saja sarkar ki Bhar jaye ga kasa tera mehfil saja sarkar ki
Hoga karam lajpal ka deedar denge Mustafa ﷺ Aa jayenge Khair-ul-Wara mehfil saja sarkar ki
Aa jaye ga woh din bhi zaroor tujh ko bula lenge huzoor Sun lenge woh yeh iltija mehfil saja sarkar ki
Sab mushkilen kafoor hon sari balayen door hon Purnoor ho seena tera mehfil saja sarkar ki
Zikr-e-Nabi zikr-e-Khuda hoga kabhi na yeh juda Chahe jo tu Rab ki raza mehfil saja sarkar ki
Mehboob-e-Rab Noor-ul-Huda sad marhaba na yeh juda Jin ke liye sab kuch bana mehfil saja sarkar ki
Ho jaye ga Jami karam dekhe ga phir baab-e-haram Sarkar ki hogi ata mehfil saja sarkar ki