Fazl-e Rabb-e-Ala aur kya chahiye Mil gaya Mustafa aur kya chahiye
Daman-e Mustafa jiske haathon mein ho Us ko Roz-e-Jazaa aur kya chahiye
In ke daarbaar mein haazri ho gayi Mil gaya madaa aur kya chahiye
Gumbad-e Sabz khwaabon mein rehne laga Haazri ka sila aur kya chahiye
Bheek ke saath hi inke daarbaar se Mil rahi hai dua aur kya chahiye
Yeh jabeen aur Riyaz al-Jannah ki zameen Ab qaza ke siwa aur kya chahiye
Hai Sikandar sanaa-khwan-e Shah-e Umam Izzat o martaba aur kya chahiye