Eid-e-Nabvi ka zamana aa gaya Lab pe khushiyon ka tarana aa gaya
Har sitare ko mili hai roshni Har kali ko muskurana aa gaya
Har taraf sall-e-ala ki dhoom hai Wajd mein sara zamana aa gaya
Parcham-e-Deen-e-Muhammad ﷺ ho buland Kufr ko gardan jhukana aa gaya
Kyun na ho qismat ke maron ko khushi Paas rehmat ka khazana aa gaya
Aaj chamka do dar-o-deewar ko Aashiqon ka din suhana aa gaya
Shaad honton par hai naat-e-Mustafa ﷺ Haath bakhshish ka bahana aa gaya