Duniya ke ae musafir manzil teri qabr hai Tae kar raha hai jo tu do din ka yeh safar hai
Jab se bani hai duniya, lakhon karoron aaye Baqi raha na koi mitti mein sab samaye Is baat ko na bhoolo sab ka yahi hashr hai
Duniya ke ae musafir manzil teri qabr hai
Aankhon se tu ne apni dekhe kayi janaze Hathon se tu ne apne dafnaye kitne murde Anjam se tu apne kyun itna bekhabar hai
Duniya ke ae musafir manzil teri qabr hai
Yeh aalishan bangle kuch kaam ke nahi hain Mehlon mein sone wale mitti mein so rahe hain Do gaz zameen ka tukra chhota sa tera ghar hai
Duniya ke ae musafir manzil teri qabr hai
Makhmal pe sone wale mitti pe so rahe hain Shah-o-gada yahan pe sab ek ho rahe hain Dono hue barabar yeh maut ka asar hai
Duniya ke ae musafir manzil teri qabr hai
Mitti ke putle tujh ko mitti mein hai samana Ik din yahan tu aaya ik din yahan se jana Rukna nahi yahan par jaari tera safar hai
Duniya ke ae musafir manzil teri qabr hai
Ae Fani Irfan! apne Maula se dil laga le Kar le Rab ko raazi, kuch nekiyan kama le Samaan tera yahi hai tu sahib-e-safar hai
Duniya ke ae musafir manzil teri qabr hai Tae kar raha hai jo tu do din ka yeh safar hai