Donon aalam mein Muhammad ka sahara maango Maango Allah se Allah ka pyara maango
Un ki nisbat hai salamat toh salamat hum bhi Un ki nisbat ke siwa kuch na Khuda ra maango
Us se barh kar koi darein mein nemat hi nahin Un ke sadqe se rakho kaam utara maango
Jis ko sab taaj-e-nabuwwat ka nageen kehte hain Arsh-e-izzat ka woh tabinda sitara maango
Un ki yaad un ka sahara hai kinara apna Nakhudaon se na toofan se kinara maango
Misl-e-khursheed-o-qamar khud bhi munawwar ho jaao Bahr-e-anwar se anwar ka dhara maango
Raqs karti hui yeh rooh Madine jaaye Maut se jaan ke ewaz un ka nazara maango
Idtiraab aur siwa ho gaya deedar ke baad Bariyabi ke liye izn-e-dobara maango