Diloon se hoke guzarta hua Madine ko Nazar se jaata hai ik raasta Madine ko
Main us ke saath tasawwur mein chalta jaata hoon Rawaana hota hai jo qaafla Madine ko
Hazaar hasrat-o-armaan ke saath dekhta hai Meri nigaah ka har zaawiya Madine ko
Badan ka dasht sulagta tha ek muddat se Main keh ke ro para kaali ghata Madine ko
Mujhe sukoon ki daulat naseeb hoti hai Main bhejta hoon jo koi du’a Madine ko
Khayal-o-khwab mein dil mein nigaah mein Nusrat Sajaaye phirta hoon main jaa-ba-jaa Madine ko