Dilon ko jagmagaane ko Nabi ka naam kaafi hai Hai rahmat-e haq ko paane ko Nabi ka naam kaafi hai
Sar-e-Mahshar gunahgaron ke lab pe thi sada yeh hi Humein to bakhshwane ko Nabi ka naam kaafi hai
Tere jo dheerhe sar par gunaahon ka to mat ghabra Gunaahon ko mitane ko Nabi ka naam kaafi hai
Jo seene mein andhera hai pareshan mat na ho yaara Hai seena jagmagaane ko Nabi ka naam kaafi hai
Jo beRa gheera toofan ne pareshan to zara nah ho Hai beRe ko tarane ko Nabi ka naam kaafi hai
Jo mushkil paas aaye to ghabra nah zara Saqib Teri bigri banane ko Nabi ka naam kaafi hai