Dila darya-e-rehmat qatra hai aab-e-Muhammad ﷺ ka Jo chahey paak ho pairu ho as'haab-e-Muhammad ﷺ ka
Qad-e-ra'na jab apna kham kiya bahar-e-namaz us ne Hua us waqt saajid Ka'ba mehraab-e-Muhammad ﷺ ka
Kiya peer-e-kharad ne maujib-e-kham pusht-e-gardoon ka Yeh bakhti baarkash rehta hai asbaab-e-Muhammad ﷺ ka
Ada kis ki zabaan se ho sake shukr us ki na'at ka Do aalam reza cheen-e-haq kiya qaab-e-Muhammad ﷺ ka
Hua hai kya kuch Ahl-e-Bait par sauda na dam maara Khuda bin kaun hai aagah aadaab-e-Muhammad ﷺ ka