Dil nisaar-e-Mustafa, jaan paaymaal-e-Mustafa Yeh Owais-e-Mustafa hai, woh Bilal-e-Mustafa
Dono haakim thay mere harf-e-dua mein gharq-o-mehw Main Khuda se kar raha tha jab sawaal-e-Mustafa
Sab samajhte hain usay sham-e-shabistaan-e-Haram Noor hai kaunain ka lekin jamaal-e-Mustafa
Aalam-e-nasoot mein, aur lahoot mein Kaundti hai har taraf barq-e-jamaal-e-Mustafa
Azmat-e-tanzeeh dekhi, shaukat-e-tashbeeh bhi Ek haal-e-Mustafa hai, ek qaal-e-Mustafa
Dekhiye kya haal kar daale shab-e-yalda-e-gham Haan nazar aaye zara subah-e-jamaal-e-Mustafa
Zarra zarra bazm-e-hasti ka hai Asghar, zaufishaan Allah Allah shaukat-o-shaan-e-jamaal-e-Mustafa