Dil mein agar Khuda hai rasool-e-Khuda bhi hai Kaaba nazar mein hai to dar-e-Mustafa bhi hai
Quran keh raha hai ke ghabraye nahi Is khaar zaar-e-zeest mein ik rehnuma bhi hai
Un par durood-e-paak parha jaye raat din Jis mein gunah-gaaron ka apna bhala bhi hai
Allah ke saath un ki itaat bhi farz hai Jo Aap ki raza hai Khuda ki raza bhi hai
Dar dar ki khaak chhanne walo batao to Un ke ilawa apna koi aasra bhi hai
Logon ne khwahishat ko mazhab bana liya Yeh bhool kar ke yaum-e-jaza-o-saza bhi hai
Kitna urooj paya Arab ki zameen ne Aab-e-hayat bhi jahan khaak-e-shifa bhi hai