Dil mein kisi ko aur basaya nah jaaye ga zikr-e Rasool Pak bhulaaya nah jaaye ga
Woh khud hi jaan lenge jitaya nah jaaye ga Hum se to apna haal sunaya nah jaaye ga
Hum ko jazaa milegi Muhammad ﷺ ke ishq ki Dozakh ke aas paas bhi laaya nah jaaye ga
Roshan rahega daag-e faraaq Shah-e-Umam Yeh woh chiragh hai jo bujhaaya nah jaaye ga
Beshak huzur shafi hashar hain munkaro! Kya un ke saamne tumhein laaya nah jaaye ga?
Kehte thay yeh Bilal tashaddud pe kufr ke Ishq-e-Nabi to dil se mitaya nah jaaye ga
Maanega un ki baat Khuda Hashr mein Naseer Ban Mustafa Khuda ko manaya nah jaaye ga