Dil jis se zinda hai woh tamanna tumhi to ho Hum jis mein bas rahe hain woh duniya tumhi to ho
Sab kuch tumhare waaste paida kiya gaya Sab ghayaton ki ghayat-e-oola tumhi to ho
Jalte hain Jibra'eel ؑ ke par jis maqam par Uss ki haqiqaton ke shanas-a tumhi to ho
Jo ma-siwa ki had se bhi aage guzar gaya Ae reh-naward-e-jadah-e-Isra! tumhi to ho
Uth uth ke le raha hai jo pehlu mein chutkiyan Woh dard dil mein kar gaye paida, tumhi to ho
Duniya mein rahmat woh dahan aur kaun hai Jis ki nazeer, woh tanha tumhi to ho
Girte huon ko thaam liya jis ke haath ne Ae tajdar-e-Yathrib-o-Batha tumhi to ho