Dhoom macha do macha do dhoom macha do aamad ki Aa gaye Sarkar ﷺ bolo aa gaye Sarkar ﷺ
Machi hai dhoom Payambar ﷺ ki aamad aamad hai Habib ﷺ Rab-e-Akbar ki aamad aamad hai Yeh kis Shahanshah-e-wala ki aamad aamad hai Yeh kaun se Shah-e-wala ki aamad aamad hai Dhoom macha do macha do dhoom macha do aamad ki Aa gaye Sarkar ﷺ bolo aa gaye Sarkar ﷺ
Farishte aaj jo dhoomein machane aaye hain Inhi ke aane ki shaadi rachane aaye hain Rusul inhi ka toh muzda sunane aaye hain Inhi ke aane ki khushiyan manane aaye hain Dhoom macha do macha do dhoom macha do aamad ki Aa gaye Sarkar ﷺ bolo aa gaye Sarkar ﷺ
Yehi toh sote huon ko jagane aaye hain Yehi toh rote huon ko hansane aaye hain Inhein Khuda ne kiya apne mulk ka maalik Inhi ke qabze mein Rab ke khazane aaye hain Dhoom macha do macha do dhoom macha do aamad ki Aa gaye Sarkar ﷺ bolo aa gaye Sarkar ﷺ
Jo chahenge jise chahenge yeh use denge Kareem hain yeh khazane lutane aaye hain Rauf aise hain aur yeh Raheem hain itne Ke girte parton ko seene lagane aaye hain Dhoom macha do macha do dhoom macha do aamad ki Aa gaye Sarkar ﷺ bolo aa gaye Sarkar ﷺ
Sunoge "la" na zaban-e-Kareem ﷺ se Noori Yeh faiz-o-jood ke darya bahane aaye hain Dhoom macha do macha do dhoom macha do aamad ki Aa gaye Sarkar ﷺ bolo aa gaye Sarkar ﷺ