Dekho jashn-e-wiladat aaya ki dhoom machi SubhanAllah Jalwah-e-noor-e-Khuda ne dikhaya ki dhoom machi SubhanAllah
Makkah mein shor hua yeh aaye Huzoor aaye Un ki aamad ke sadqe rehmat ke badal chaye Aaye Rasool dekho khilte hain phool dekho shaan-e-nuzool dekho Saare aalam ko hai mehkaya ki dhoom machi SubhanAllah
Hasrat hai sab ko jayein Aaminah Bibi ke ghar Sab hain betab ki dekhein Aaqa ko ek nazar Qismat yeh tune payi lene balayein aayi pyari Halimah dayi Tune god mein un ka uthaya ki dhoom machi SubhanAllah
Bhejo durood un par Allah yeh farmaye Jis se woh khud hai raazi aise Nabi hain aaye Deen-o-imaan laye Rab ka farmaan laye pyara Quran laye Kalma pyare Nabi ne padhaya ki dhoom machi SubhanAllah
Sookhay shajar ne paya un ke karam ka saya Pal mein sarsabz hua woh qadmon mein sar ko jhukaya Aaye Taiba ke wali boli yeh dali dali Aaqa ki shaan nirali Aisa husn baharon ka chhaya ki dhoom machi SubhanAllah
Un ke deewane saare jashn-e-milad manayein Har su charaghan karke phool lutayein Hassan tamam un par sadqay ghulam un par lakhon salam un par Un ke jaisa Kamal na aaya ki dhoom machi SubhanAllah