Dekhne ko Ya Muhammad yun to kya dekha nahi Haan magar mehboob koi aap sa dekha nahi
Dekha bohat nigah-e-talib ko mila nahi Tum se tumhi ho tum sa koi doosra nahi
Ek se ek barh kar haseen dekhe magar Ya Mustafa Tum se barh kar husn wala doosra dekha nahi
Meem ka parda utha kar woh nigah-e-shauq se Mustafa ko dekh le jis ne Khuda dekha nahi
Main to kar sakta nahi Jannat ki baatein shauq se Woh kare jis ne dayar-e-Mustafa dekha nahi
Soorat ko teri dekh ke kuch munh se na nikla Nikla to yeh nikla koi Aap ﷺ sa dekha nahi
Yun to saare Nabi mohtaram hain magar Koi Aap ﷺ sa dekha nahi
Dekhne ko Ya Muhammad yun to kya dekha nahi Haan magar mehboob koi aap sa dekha nahi