Dekha Khuda ne khud ko, jinhein rakh ke saamne Paata hai khud ko kaun inhe paake saamne
Ummi to kehte hain sabhi, yeh dekhte nahin Duniya ka ilm kitna hai Aaqa ke saamne
Milta hai sab kuch un ke waseele se khalq ko Deta hai warna kis ko Khuda aa ke saamne
Hote bashar to jaate na Qausain tak Huzoor ﷺ Jaata hai sirf noor hi maida ke saamne
Yousuf ka husn dekh kar kuch ungliyan katin Be-dekhe kat rahe hain sar, Aaqa ke saamne
Aaina-gar ki zaat pe padti nahin nazar Rakhe hain aise aaine phaila ke saamne
Kaabe ki samt laakh sar-e-bandagi jhuke Dil to jhuke ga Waali-e-Kaaba ke saamne
Har zarra jalwa-gah hai noor-e-Nabi ka Shauq Kya shai hai Toor, arz-e-Madinah ke saamne