Dekhi jo faza-e koaye Nabi jannat ka thaakana bhool gaye Sarkar ka roza yaad raha duniya ka fasana bhool gaye Sarkar-e Dawalam ke dar par jis waqt pari betab nazar Aqa ki sanaa lab par aayi har ek tarana bhool gaye Jab pahunchay maujaah par un ke ek kaif mein aisa doob gaye Jo haal sunana tha un ko wo haal sunana bhool gaye Ae dost batain kya tujh ko Aqa ke nagar ki ranai Hum dekh ke shahr Sali Ali har shahr suhana bhool gaye Aqa-e Dawalam ke dar-peh ek aisa bhi alam guzra hai Aane ka zamana yaad raha jaane ka zamana bhool gaya Hum pahunchay salaami ko jis dam darbaar Risalat mein Abid Sab ashk-e nadamat beh nikle asiyaan ko chhupana bhool gaye