De ke rozay pe haaziri main ne Phir se paayi hai zindagi main ne
Mil gaya izn-e-baariyabi ka Yeh toh socha na tha kabhi main ne
Teeragi chhat gayi ke dekhi hai Maah-e-Taibah ﷺ ki chandni main ne
Paayi us khush-kalaam ﷺ ke sadqay Shaairi mein shaguftagi main ne
Hain Madinay mein naqsh-e-paa-e-Nabi ﷺ Choom li hai gali gali main ne
Aaj Hassan ؔ jaisay shair ki Ki hai thodi si pairvi main ne
Zikr-e-Illahi aur durood-e-Nabi ﷺ Pa liya raaz-e-zindagi main ne