De do deedar sajan varna betab hai man Kab ki hai shaan zameen tere darshan ki lagan
Yaad aati hai shaha shehar-e-Taiba ki faza Dil mein hasrat hai badi kab woh dekhenge vatan
Hum jo hain door kahin tum to majboor nahin Dekhein Taiba ki zameen lakh karte hain jatan
Misl ho teri kahan too to hai aali shaan Tere aane se bani arz-e-Makkah bhi dulhan
Hai yeh Nasir ki dua aye Nabi-e-noor-e-Khuda Kash nagri mein teri mar ke ho jaaun dafn