Dar paish ho Tayyibah ka safar kaisa lagega Guzray jo wahan sham o sehar kaisa lagega
Aey kaash Madinah mein mujhe maut yun aaye Qadmon mein ho Sarkaar ke sar kaisa lagega
Aey pyare Khuda dekhun main Sarkaar ka jalwa Mil jaye duaa ko jo asar kaisa lagega
Jab dur se hai itna haseen gumbad-e Khizri Is par yeh aalam hai idhar kaisa lagega
Tayyibah ki saadat to yun paate hain hazaaron Murshid ka saath ho jo safar kaisa lagega
Aajayein mere ghar mein agar Rahmat-e-Alam Main kaisa lagun ga mera ghar kaisa lagega
Pai hai Manoor ne qaza dar pe Nabi ke Aajaayein watan mein yeh khabar kaisa lagega