Darbaar-e Muhammad ﷺ mein jaakar pareshan koi bhi aata nahin Sarkar to itna dete hain jhooli mein kisi ke samata nahin
Rabb hai mu'ti main hoon Qasim yeh farmaan hai Aqa ka Mujhe ek hi dikhla do jag mein jo sadaqa Nabi ka khata nahin
Woh Hajj ko zaaya karta hai aur Aqa pe zulm bhi karta hai Jo Makkah ja kar aaye yaaro phir Shahr-e-Nabi mein jaata nahin
Jo Shahr-e-Madinah aata hai jo deed-e-roze ki paata hai Hai Khuda ki qasam us ke dil ko koi aur nazara bhata nahin
Sab kuch hi un ke tafeel mila is duniya mein mujh ko yaaro Main shama Nabi ka hoon parwana main yunhi to utrta nahin
Yeh Saaqib un ka deewana hai yeh ghair ke dar pe kyon jaaye Ae sab kuch Aqa dete hain yeh dar-dar dhake khata nahin