Dar-e-Nabi pe pada rahoon ga Kabhi to qismat khulayegi meri Kabhi to mera salaam hoga Is tawaqqu pe ji raha hoon yehi tamanna jala rahi hai Nigah-e-lutf o karam nah hogi to mujh ko jeena haraam hoga Yahan nah maqsad mila to kya hai wahan milega Tafeel Hazrat Humara matlab hua dhara hai na subah hoga to shaam hoga Diyar-e Rahmat pe hoga qabza un ka har soo bajega danka Jo hashr hoga to dekh lena unka sab intizaar hoga Shafi Mahshar laqab hai un ka ise shafa'at se kaam hoga Har sab ka daromdar is par wahi madar-himam hoga Khilaaf-e-maashooq kuch hua hai na koi aashiq se kaam hoga Khuda bhi hoga udhar hi ae dil jidhar woh aali maqam hoga Hoyi Kawthar pe bariabi to kaif-e-mishk ki dhaj yeh hogi Bagal mein Mina nazar mein saaqi khushi se haathon mein jaam hoga