Chand suraj ki bhala us ko zaroorat kya hai Mere Aaqa ﷺ ke liye lafz-e-aqeedat kya hai
Phool be-chain hain raahon mein bikharne ke liye Titliyan poochti phirti hain ibadat kya hai
Us ke paon se lahoo rasta hai dekho to zara Phir bhi woh sab ko dua deta hai azmat kya hai
Hum na kar paaye kabhi Aap ﷺ ke farman pe amal Warna ummat ke liye harf-e-nadamat kya hai
Chand ho taare hon ashjaar hon ya hum insaan Zarra zarra hai gawah us ka shahadat kya hai
Chahay woh arsh pe jaaye ke Madine mein rahay Duniya walo! tumhein us baat pe hairat kya hai
Jo kaha Rab ne, hua us ke amal mein zahir Khud hai woh us ki raza, baar-e-amanat kya hai
Char su Makkah, Madinah ki faza mein Zaibi Pyaar hi pyaar hai har simt inayat kya hai