Bahut ranjeeda-o-ghamgeen hai dil Ya RasoolAllah Karam kar do kali dil ki uthay khil Ya RasoolAllah
Balaon ne mujhe har samt se kuch aisa ghera hai Meray barhtay hi jatay hain masail Ya RasoolAllah
Paye imdad apnay sher-e-Hamza ko shaha bhejo Meray peechay para hai haye! qatil Ya RasoolAllah
Dil-e-maghmoom ka sab haal Aaqa tum pe zahir hai Shaha! hoon marham-e-taskeen ka sail Ya RasoolAllah
Gham-o-aalam ka mara hoon Aaqa be-sahara hoon Meri aasaan ho har ek mushkil Ya RasoolAllah
Tumhein deta hoon Maula wasita mein chaar yaaron ka Meray ho jaein tay mushkil marahil Ya RasoolAllah
Jo tu chahay to meray gham ki beri gir paray kat kar Nahi teray liye yeh koi mushkil Ya RasoolAllah
Musalman aah! ghafil ho gaye neki ki dawat se Barha jata hai haye! zor-e-batil Ya RasoolAllah
Shaha mandla rahi hai maut sar par phir bhi mera nafs Gunahon ki taraf hardam hai mail Ya RasoolAllah
Barha jata hai hardam aah! ghalba nafs-o-shaitan ka Yeh har neki mein ho jatay hain hail Ya RasoolAllah
Gunahon ke sabhi amraz Aaqa door farma do Sanwar jain meray sab bad-khasail Ya RasoolAllah
Na London ki na Paris ki na America ki hai khwahish Madinah hi hamari to hai manzil Ya RasoolAllah
Shafaat hashr mein farmao ge jab khush naseebon ki Mujhe kar lena Aaqa un mein shamil Ya RasoolAllah
Karam kar do bajuz isyaan nahi hai kuch bhi naamay mein Ibadat hai na pallay hain nawafil Ya RasoolAllah
Hamaray zakhm-haye-gham Rasool-e-Pak bhar jain Jigar ho teray gham mein kaash! ghayal Ya RasoolAllah
Kuch aisi aag ulfat ki laga do meray seenay mein Main tarpoon khoob tarpoon misl-e-bismil Ya RasoolAllah
Teray akhlaq par qurban teray ausaf par wari Musalman kya adu bhi tera qail Ya RasoolAllah
Shaha! jab khuld mein aap aagay aagay jain us dam kaash Main bhi ho jaaun peechay peechay dakhil Ya RasoolAllah
Abhi ban jaye bigri teray ik adna ishary se Teray Attarؔ ke hal hon masail Ya RasoolAllah