Biliqeen us ko toh jeene ka qareena aa gaya Jis ke lab par har ghari zikr-e-Madinah aa gaya
Sahil-e-Jeddah pe lo apna safeena aa gaya Jhoom jaao aashiqo! meetha Madinah aa gaya
Khoob machlo jhoom lo aur khaak utha kar choom lo Lo woh Makkah aa gaya dekho Madinah aa gaya
Gham ghalat ho jayenge bas muskura ke dekh lo! Gham ka maara dar pe ya Shah-e-Madinah aa gaya
Paaon mein joota are! mehboob ka koocha hai yeh Hosh kar tu hosh kar ghafil! Madinah aa gaya
Hijr ke maaron ke dil mein hook si uthne lagi Qafiley Tayyaba chaley hajj ka maheena aa gaya
Mujh ko rota chhor kar sab qafiley waley chaley Laut kar main ghamzada, Shah-e-Madinah aa gaya
Mauj har biphri hui hai ab khudara aaiye! Gardish-e-toofan mein apna safeena aa gaya
Kis qadar hai ba-muqaddar woh musalman bhaiyo! Khwaab mein jis ko nazar Shah-e-Madinah aa gaya
Ik tabassum-rez honton ki jhalak dikhlaiye Jaan-balab ke ab toh maathay par paseena aa gaya
Tal gaya mujh se azaab aur qabr roshan ho gayi Qabr mein meri Shahanshah-e-Madinah aa gaya
Shafi-e-Mahshar! meri imdaad ko ab aaiye! Hashr mein baar-e-gunah lekar kameena aa gaya
Kyun na rashk us par karein phir yeh jahan ke taajdar Haath jis ke ishq-e-Ahmad ka khazeena aa gaya
Arz ro ro kar karoon ga jab Madine jaaonga Ya Nabi dar par gunahgar-o-kameena aa gaya
Aap ke lutf-o-karam se keh uthey Attar kaash! Dil Madinah ho gaya dil mein Madinah aa gaya