We've added ads to help keep the platform running and improving for you.

Bigri Bhi Banayein GeNot Verified

Bigri bhi banayenge jalway bhi dikhayenge Ghabrao na deewano ! Sarkar ﷺ bulayenge


Hum Masjid-e-Nabvi ke dekhenge minaron ko Aur Gumbad-e-Khizra ke pur-noor nazaron ko Hum jaake Madina phir wapas nahi aayenge


Mil jayengi tabeerein ek roz to khwabon ki Gir jayengi deewarein sab dekhna raahon ki Hum Rauza-e-Aqdas par jab aansu bahayenge



Find Your Favorite Lyrics Anytime, Anywhere - Install the App Today!

Get it on Google Play


Jab hashr ke maidan mein ek hashr bapa hoga Jab faisla ummat ka karne ko Khuda hoga Ummat ko Shah-e-Batha ﷺ daaman mein chupayenge


Dil ishq-e-Nabi ﷺ mein tum kuch aur tarpne do Is deed ki aatish ko kuch aur bhadakne do Hum tishna dili chal kar Zam Zam se bujhayenge

Offline Lyrics Anytime, Anywhere - Download the App Today!

Get it on Google Play

midhah-logo-grey© 2026 Midhah